Allah Ta'ala ne insano ki Hidayat aur Rahnumai ke liye Duniya me Taqreeban Ek laakh 24 hazar Paighambar bheje.Aur Tamam Nabiyon Ki Ek Hi Dawat "La Ilaha Illallah Thi.Allah ne har qaum ki hidayat ke liye Alag Alag Nabi ko bheja. Zamana badalta raha, qaumein badalti rahi, lekin tamam Ambiya ka paigham kabhi nahi badla. Har Nabi ne apni qaum ko sabse pehle ek hi dawat di:
"La Ilaha Illallah"Sirf Allah ki ibadat karo aur uske siwa har ma'bood ka inkar karo."
Aaj bhi sawal wahi hai: Jab tamam Ambiya ki dawat ek hi thi, to phir log gumrah kaise ho gaye?
✍️ By: Mohib Tahiri | 🕋 Islamic Articles| Dawat e Tauheed|La ilaha illallah|Nabiyon ki Dawat|🕰 Updated:10 Aug 2026
![]() |
| Tamam Ambiya (Alaihimus Salam) ka paigham ek hi tha: "La Ilaha Illallah" |
Is article Tamam Nabiyon Ki Ek Hi Dawat "La Ilaha Illallah" me Qur'an aur Sahih Ahadees ki roshni me is sawal ka jawab samjhenge.
Sabse Pehla Paigham – Tauheed
Allah Ta'ala farmata hai:
"Aur humne har ummat me ek Rasool bheja (jo ye kehta tha): Allah ki ibadat karo aur Taghut se bacho."
(Surah An-Nahl 16:36)
Is ayat se maloom hota hai ke har Nabi ki bunyadi dawat sirf Tauheed thi.
Hazrat Nuh (A.S.) Ki Dawat
Hazrat Nuh (A.S.) ne apni qaum ko sabse pehle Tauheed ki dawat di aur shirk se bachne ki talqeen ki. Unhone 950 saal tak sabr ke saath apni qaum ko sirf Allah ki ibadat ki taraf bulaya, lekin aksar log shirk par hi qayam rahe.
"Aye meri qaum! Allah ki ibadat karo. Uske siwa tumhara koi haqiqi ma'bood nahi."
(Surah Al-A'raf 7:59)
Hazrat Hud (A.S.)
Hazrat Hud (A.S.) ko Qaum-e-'Aad ki hidayat ke liye bheja gaya. Unhone apni qaum ko Allah ki wahdaniyat ka paigham diya aur ghuroor aur shirk se taubah karne ki dawat di.
"Allah ki ibadat karo, uske siwa tumhara koi ma'bood nahi."
(Surah Al-A'raf 7:65)
Hazrat Salih (A.S.)
Hazrat Salih (A.S.) ne Qaum-e-Samood ko Allah ki ibadat aur Tauheed ki dawat di. Allah ne unki sachchai ki nishani ke taur par oontni ka mojiza bhi ata farmaya, lekin qaum ne na-farmani ki.
"Allah ki ibadat karo, uske siwa tumhara koi ma'bood nahi."
(Surah Al-A'raf 7:73)
Hazrat Shu'aib (A.S.)
Hazrat Shu'aib (A.S.) ne Qaum-e-Madyan ko Tauheed ke saath-saath tijarat mein imandari, naap-tol mein insaf aur har qism ke zulm se bachne ki talqeen ki.
"Allah ki ibadat karo, uske siwa tumhara koi ma'bood nahi."
(Surah Al-A'raf 7:85)
Hazrat Ibrahim (A.S.)
Hazrat Ibrahim (A.S.) ne but-parasti ka khul kar radd kiya aur sirf Allah ki ibadat ki dawat di. Unhone apni qaum ko dalail ke saath Tauheed samjhayi aur buton ko tod kar shirk ki haqeeqat ko wazeh kiya.
Allah Ta'ala farmata hai:
"Beshak Ibrahim tumhare liye behtareen namoona hain."
(Surah Al-Mumtahanah 60:4)
Hazrat Musa (A.S.)
Hazrat Musa (A.S.) ne Fir'aun jaise mutakabbir badshah ke samne bhi Tauheed ka paigham pesh kiya aur Bani Isra'il ko sirf Allah ki bandagi ki taraf bulaya.
"Beshak Main hi Allah hoon, Mere siwa koi ma'bood nahi. Pas Meri hi ibadat karo."
(Surah Ta-Ha 20:14)
Hazrat Isa (A.S.)
Hazrat Isa (A.S.) ne kabhi apni ibadat ki dawat nahi di, balkeh hamesha logon ko sirf Allah ki ibadat karne aur Usi ko apna Rabb maanne ki taleem di.
"Beshak Allah hi mera bhi Rabb hai aur tumhara bhi Rabb hai, isi ki ibadat karo. Yahi seedha raasta hai."
(Surah Aal-e-Imran 3:51)
Nabi Muhammad ﷺ Ki Dawat
Nabi Kareem ﷺ ki dawat ka bunyadi paigham bhi Tauheed tha. Aap ﷺ ne Makka mein sabse pehle logon ko shirk chhod kar sirf Allah ki ibadat ki taraf bulaya aur isi paigham par poori zindagi qayam rahe.
"La ilaha illallah kaho, kamyab ho jaoge."
Is dawat ka mafhoom Musnad Ahmad aur Seerat ki riwayaton mein sabit hai.
Qur'an mein Allah Ta'ala farmata hai:
"Aap se pehle humne jitne Rasool bheje sab par wahi nazil ki ke Mere siwa koi ma'bood nahi, is liye sirf Meri ibadat karo."
(Surah Al-Anbiya 21:25)
Phir Insan Gumrah Kyun Huwa?
1. Baap Dada Ki Andhi Taqleed
Allah farmata hai:
in ka kehna yeh hai ke hum ne apne baap dadon ko ek tareeqe per paya hai , aur hum unhi ke naqsh-e-qadam kay mutabiq theek theek raastay aur unke tareeqa par ja rahe hain .
(Surah Az-Zukhruf 43:22-24
Aksar log daleel ki bajaye riwayat aur rasm-o-riwaj ko pakad lete hain. Gumrahi ka sabse Badi wajah me se ek yeh hai.
2. Shaitan Ka Dhoka
Allah Ta'ala farmata hai:
"Beshak Shaitan tumhara khula dushman hai."
(Surah Fatir 35:6)
Shaitan shirk, bid'at aur gunahon ko khoobsurat bana kar dikhata hai.
👉 Shaitaan kaise insan ko Gumrah karta hai Janne ke liye padhen ise
3. Duniya Ki Mohabbat
"Duniya momin ke liye qaidkhana aur kafir ke liye jannat hai."
(Sahih Muslim: 2956)
Jab duniya ki mohabbat dil me bhar jati hai to aakhirat bhool jati hai.
👉 Duniya ki mohabbat ka Anjam Aur Haqeeqat kya hai padhen Yahan
4. Qur'an Aur Sunnat Se Doori
Rasulullah ﷺ ne farmaya:
Maine tumhare darmiyan do cheezen chhodi hain, jab tak unhe mazbooti se pakde rahoge kabhi gumrah nahi hoge: Allah ki Kitab aur meri Sunnat."
(Muwatta Imam Malik)
Par afsos! Aaj ummat me se aksariyat dono ko chhor chuki hai.
1. Allah ki Kitab ko mazbooti se pakadne ka hukm
Rasulullah ﷺ ne farmaya:
"Maine tum mein Allah ki Kitab chhodi hai. Jo ise mazbooti se pakdega, woh hidayat par rahega, aur jo ise chhod dega, gumrah ho jayega."
Sahih Muslim, Hadith 1218
2. Sunnat ki pairwi ka hukm
Rasulullah ﷺ ne farmaya:
Tum par meri Sunnat aur mere baad hidayat yafta Khulafa-e-Rashideen ki Sunnat ko lazim pakadna hai. Use mazbooti se thaam lo aur daanton se pakad lo."
Sunan Abi Dawud, Hadith 4607
Jami' at-Tirmidhi, Hadith 2676 (Imam Tirmidhi: Hasan Sahih)
Zarur padhen: 👉 Jab Nabi ﷺ Allah se shikayat karenge ki ummat ne Qur'an ko chhor diya tha
Tauheed Hi Nijat Ka Rasta Hai
Rasulullah ﷺ ne farmaya:"Jo is haal me mare ke Allah ke saath kisi ko shareek na thahrata ho, woh Jannat me dakhil hoga."
(Sahih Muslim: 93)
Aur farmaya:
"Allah ka banda par sabse bada haq ye hai ke woh sirf usi ki ibadat kare aur uske saath kisi ko shareek na thahraye."
(Sahih Bukhari: 2856, Sahih Muslim: 30)
Hamari Zimmedari Kya Hai?
- Qur'an ko samajh kar padhna.
- Sahih Ahadees par amal karna.
- Shirk aur Bid'at se bachna.
- Har ibadat sirf Allah ke liye karna.
- Ambiya ki asal dawat ko dusron tak pahunchana.
Conclusion:
Tamam Ambiya (Alaihimus Salam) ki dawat ek hi thi: La Ilaha Illallah. Kisi Nabi ne logon ko apni ibadat ki taraf nahi bulaya, balki sab ne sirf Allah ki ibadat ka hukm diya. Gumrahi us waqt shuru hoti hai jab insan Qur'an aur Sunnat ko chhod kar riwayat, andhi taqleed, hawa-e-nafs aur Shaitan ki pairwi karne lagta hai.
Agar hum waqai duniya aur aakhirat ki kamyabi chahte hain, to hamein tamam Ambiya ke is azeem paigham ko mazbooti se pakadna hoga:
"La Ilaha Illallah Muhammadur Rasulullah."
Hidayat sirf usi ko naseeb hoti hai jo Allah ki Kitab aur Rasulullah ﷺ ki Sahih Sunnat ko mazbooti se thaam leta hai. Qur'an aur Sunnat ek doosre ke mukhalif nahi, balki ek doosre ki tashreeh aur takmeel hain. Isi me duniya aur aakhirat ki kamyabi hai.
🤲Dua:
💠اللَّهُمَّ يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ، ثَبِّتْ قُلُوبَنَا عَلَى دِينِكَ۔
Allahumma ya Muqallibal-quloob, thabbit quloobana 'ala deenik.
Aye Allah! Aye dilon ko pherne wale! Hamare dilon ko apne deen par mazboot rakh.
اللَّهُمَّ أَرِنَا الْحَقَّ حَقًّا وَارْزُقْنَا اتِّبَاعَهُ، وَأَرِنَا الْبَاطِلَ بَاطِلًا وَارْزُقْنَا اجْتِنَابَهُ۔💠
Allahumma arinal-haqqa haqqan warzuqnat-tibaa'ah, wa arinal-baatila baatilan warzuqnaj-tinaabah.
Aye Allah! Hamein haq ko haq dikha aur uski pairwi ki taufeeq ata farma. Aur hamein batil ko batil dikha aur us se bachne ki taufeeq ata farma.
اللَّهُمَّ اجْعَلْنَا مِنَ الْمُوَحِّدِينَ، وَجَنِّبْنَا الشِّرْكَ وَالْبِدْعَةَ وَجَمِيعَ فِتَنِ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ۔💠
Allahummaj-'alna minal-muwahhideen, wa jannibnash-shirka wal-bid'ata wa jamee'a fitanid-dunya wal-aakhirah.
Aye Allah! Hamein Tauheed par qaim rehne walon mein shamil farma aur hamein shirk, bid'at aur duniya o aakhirat ke tamam fitnon se mehfooz farma.
رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ، وَتُبْ عَلَيْنَا إِنَّكَ أَنْتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ۔💠
Rabbana taqabbal minna innaka Antas-Samee'ul-'Aleem, wa tub 'alayna innaka Antat-Tawwaabur-Raheem.
Aye hamare Rab! Hamari taraf se qubool farma, beshak Tu hi sab kuch sunne aur jaanne wala hai. Aur hamari tauba qubool farma, beshak Tu bahut zyada tauba qubool karne wala, nihayat Raham farmane wala hai.
FAQs
Que: Kya sabhi Ambiya ki dawat ek hi thi?
Ans: "Ji haan. Qur'an ke mutabiq Allah Ta'ala ne har qaum me Rasool bheja aur sab ne ek hi paigham diya: Sirf Allah ki ibadat karo aur uske saath kisi ko shareek na thahrayo. (Surah An-Nahl 16:36, Surah Al-Anbiya 21:25)
Que: La Ilaha Illallah ka asal matlab kya hai?
Ans: "La Ilaha Illallah ka matlab hai ke Allah ke siwa koi bhi ibadat ke laiq nahi. Har qisam ki ibadat, dua, sajdah, nazr aur tawakkul sirf Allah ke liye hona chahiye.
Que: Agar sabhi Ambiya ki dawat ek thi to log gumrah kyun ho gaye?
Ans: "Qur'an ke mutabiq gumrahi ki badi wajah andhi taqleed, Shaitan ke waswase, duniya ki mohabbat aur Qur'an-o-Sunnat se doori hai. Isi wajah se kai qaumein Tauheed se hat kar shirk aur bid'at me mubtala ho gayin."
Que: Kya Hazrat Isa (A.S.) aur Hazrat Musa (A.S.) ne bhi Tauheed ki dawat di thi?
Ans: Ji haan. Hazrat Musa (A.S.), Hazrat Isa (A.S.) aur tamam Ambiya Alaihimus Salam ne sirf Allah ki ibadat ki dawat di aur logon ko shirk se bachne ki taleem di.
Que: Tauheed par amal karne ke liye kya karna chahiye?
And: Qur'an ko samajh kar padhna, Sahih Sunnat par amal karna, shirk aur bid'at se bachna, aur har ibadat sirf Allah ke liye karna Tauheed par amal ka bunyadi tareeqa hai.

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.thanks