Mard Ki Zindagi Aur Ghalat Fahmiyon Ka Anjaam | Maa Aur Biwi Ke Darmiyan Pisne Wala Mard(Roman)

Mard Duniya ke har mushkilat aur halaat se lad Sakta hai,har pareshani ka samna kar Sakta hai,lekin apno se aksar haar jata hai

Mard ki zindagi ko jitna aasan samjha jata hai, haqeeqat mein woh utni hi mushkil bhari hoti hai. Bahar se woh muskurata hua, mazboot aur khush nazar aata hai, lekin aksar uske dil mein aisi fikrein aur pareshaniyan hoti hain jinhen bahut kam log samajh pate hain

Duniya mein mard ko aksar mazboot, be-fikr aur har mushkil ka saamna karne wala samjha jata hai. Log uski kamyabiyon ko dekhte hain, uski kamai ko dekhte hain, uski zimmedariyon ko dekhte hain, lekin uske dil ke andar chalne wali jang ko bahut kam log samajh pate hain.na Maa samajh pati hai aur na biwi.

👉 Is article ko Hindi me Yahan padhen

Kabhi use maa ki narazgi ka saamna karna padta hai aur kabhi biwi ke gile shikwe sunne padte hain. Kabhi uski mohabbat ko kamzori samjha jata hai aur kabhi uski khamoshi ko be-rukhi. Aise mein uska sukoon, uski khushiyan aur kabhi kabhi uski poori zindagi mutasir ho jati hai.

Bachpan mein woh maa baap ki aankhon ka tara hota hai, lekin nikah ke baad uski zindagi ek naye mod par aa jati hai. Ek taraf maa baap hote hain jinhon ne use paal pos kar bada kiya aur dusri taraf biwi hoti hai jo apni poori zindagi uske saath jod kar uske ghar aati hai. Mard dono ko khush dekhna aur dono ke huqooq ada karna chahta hai, lekin jab ghalat fahmiyan, badgumaniyan aur ilzamat ghar mein jagah bana lete hain to sab se zyada pisne wala shakhs aksar wahi mard hota hai.

Maa aur biwi ke darmiyan pareshan mard ki zindagi
maa aur biwi ke darmiyan paida hone wale ikhtilafaat aur ghalat fahmiyon se pareshan mard

Yeh article"Mard Ki Zindagi Aur Ghalat Fahmiyon Ka Anjaam" kisi ek fard ko doshi thehrane ke liye nahi, balki maa, biwi aur mard teenon ko unki zimmedariyan yaad dilane aur un ghalat fahmiyon ko door karne ke liye hai jo gharon ka sukoon cheen leti hain. Aaiye Islam ki roshni mein samajhne ki koshish karte hain ki mard ki zindagi ki asal haqeeqat kya hai aur ghalat fahmiyon ka anjaam kitna khatarnak ho sakta hai.

👉 Aakhir Kya wajah hai ki jahannam me Auraton ki tadad zayadah hogi?padhen Qur'an aur Hadees Ki Roshni me 

Bachpan ke Sunahre Pal 

Mard Ki Zindagi ka sabse sunahra pal uska bachpan hota hai.Jab insan bachcha hota hai to ghar ka sab se pyara fard hota hai. Maa uski khushi mein khush aur uske gham mein ghamgeen hoti hai. Baap uski zaruraton ko poora karne ke liye mehnat karta hai. Bhai behen uske saath mohabbat aur ulfat ka rishta rakhte hain.

Phir waqt guzarta hai, bachcha jawan hota hai aur ek din uski zindagi mein nikah ke zariye ek naya saathi shamil ho jata hai. Yahin se uski zindagi ka ek naya safar shuru hota hai. Aksar isi mor par bahut si ghalat fahmiyan janam leti hain jo dheere dheere poore ghar ke sukoon ko mutasir kar deti hain.

Mard Ki Asal Azmaish

Nikah ke baad mard ke kandhon par do badi zimmedariyan aa jati hain:

  1. Maa baap ke huqooq ada karna.
  2. Biwi aur bachchon ke huqooq ada karna.

Dono hi Allah Ta'ala ke nazdeek ahmiyat rakhte hain.

Allah Ta'ala farmata hai:

"Aur tumhare Rab ne faisla kar diya hai ki tum uske siwa kisi ki ibadat na karo aur maa baap ke saath ihsan karo."

(Surah Al-Isra: 23)

Aur biwiyon ke bare mein farmaya:

"Aur unke saath bhale tareeqe se zindagi guzaro."

(Surah An-Nisa: 19)

Yani Islam ne maa ke huqooq bhi bayan kiye aur biwi ke huqooq bhi.ab Mard ko dono ke huqooq ada karne Hain.

👉 Wo kaunsi auraten Hain jinke liye jannat ki Bashart hai? Auraton ke liye ek behtareen islami paigham

Ghalat Fahmiyon Ka Aaghaz

Aksar gharon mein masla haqeeqat se zyada ghalat fahmiyon ki wajah se paida hota hai.

Aksar gharon me chhoti chhoti baaton ko lekar hujjat wa takrar Hoti rahti hai ye mamuli baat hai.lekin isi me nasamjhi ki wajah se jab Maa beta ka samne apni baat rakhti hai aur biwi Shohar ke samne apni baat to beta nahi chahta ki baat aage badhe ,Ghar ka maahol kharab ho.kisi ek ko samjha kar chhor Deta hai.

Ab aise me Kabhi maa ko lagta hai ki beta ab pehle jaisa nahi raha.Aur Kabhi biwi ko mehsoos hota hai ki uski baat aur jazbaat ki qadr nahi ki ja rahi hai. mera Shohar ab mujhe Pahle jaisa Pyar aur qadar nahi karta.jabk Mard ki niyat sakoon ka maahol hota hai.

Muamala kab aur nazuk hota hai 

Muamala us waqt aur nazuk hota hai jab Kabhi ghar mein koi cheez gum ho jaye aur na mile, koi nuqsan ho jaye ya koi tanaza paida ho jaye to baghair tahqeeq ke ilzam laga diya jata hai.

  • ♦️ Saas sochti hai ki Meri bahu ne Aisa Kiya hai taaki mujhe ya Ghar walon ko koi Nuqsan pahunche
  • ♦️ Aur bahu sochti hai ki Saas ne Aisa Kiya hai mujhe aur mere Shohar ko koi Nuqsan pahunche 

Lekin Haqeeqat tak pahunchne ki koi Koshish nahi karta ki sachai Kya hai? Aur yehin se rishton me kharabi aur dooriyan paida hone lagti hai.

Allah Ta'ala farmata hai:

"Aey imaan walon! Bahut se gumano se bacho, yaqeenan baaz gumaan gunah hote hain."

(Surah Al-Hujurat: 12)

Is liye sirf shak aur andazay ki bunyad par kisi ko doshi qarar dena Islam ki taleemat ke khilaf hai.

Note

haan kuchh gharon me Aisa zarur hota hai Jo bahu ya Saas Haqeeqat me apni ana aur zid ke chakkar me ek dusre ko Nuqsan pahunchane ki Koshish karte Hain aur kamyab bhi hote hain lekin iska Anjam sabhi ko bhugatna padta hai isi Duniya me lekin uska apna Aakhirat to barbad hi samjho.

👉 Padhen Yahan Shaitan kaise Hamare rishton me nafrat,duriyan aur kadwahat paida karta hai? Shaitan ke waswase aur chaal ko samjhen aur rishton ko bachayen.

Maa Kuchh Aur Sunati Hai, Biwi Kuchh Aur

Mard ki Zindagi us waqt aur mushkil bhari ho jati hai aur pareshani shuru hoti hai Jab Woh rozgar ki thakan ke baad ghar laut'ta hai to ek taraf maa apni shikayaat sunati hai aur doosri taraf biwi apni pareshaniyan bayan karti hai.

Ab chunki Mard dono ko khush dekhna chahta hai lekin har baat mein kisi ek ka saath dena uske liye mushkil ho jata hai.

  • Agar maa ki baat maan le to biwi naraz.
  • Agar biwi ki baat maan le to maa naraz.

Yahan se mard ka zehni sukoon mutasir hona shuru ho jata hai.Ab Mard kare bhi to Kya kare? 

Kamai Ka Bhi Aksar Ghalat Matlab Nikala Jata Hai

Mard ke upar Maa Baap aur Ghar walon ke Saath apni biwi bachon ki bhi zimmedari Hoti hai unke akhrajaat pure karne ke liye.is liye wo mehnat mazdoori karta hai taaki kuchh kama kar laaye aur unki zaruriyat puri kare.lekin Yahan bhi Mard Ghar walon ka Shikar hota hai.

  • ♦️ Aksar gharon ka ye Haal hai ki maa sochti hai ki beta apni tamam kamai biwi par kharch kar raha hai.
  • ♦️ Dusri taraf biwi sochti hai ki shohar apni sari kamai maa aur ghar walon ko de raha hai.

Halaanki haqeeqat aksar iske baraks hoti hai.

Mard Jo bhi kamata hai apni haisiyat ke mutabiq har ek ki zaruriyat poori karne ki koshish karta hai. Lekin jab uski niyyat ko samjhe baghair us par ilzam lagaye jate hain to uska dil tootne lagta hai.uski Zindagi ki sakoon khatm hone lagti hai.

Agar mard ke paas sahi samajh aur deen ki baseerat na ho, aur woh haq ko pehchan na sake, to mumkin hai ke woh maa ya biwi me se kisi ek ki baat maan kar doosre par zulm kar baithe. Yeh zulm us ki Aakhirat ke liye bahut nuqsan ka sabab ban sakta hai. Lekin agar mard samajhdar aur deendar ho, to woh jazbaat ke bajaye Qur'an-o-Sunnat ki roshni me faisla karega, apne farz pehchanega aur insaf se kaam lega. Isi me duniya ki bhalai aur Aakhirat ki kamyabi hai.

Ab aise halaat me mard kare to kya kare? Aksar koi us ko samajhne ki koshish nahi karta. Woh apni zimmedariyon aur majbooriyon ke darmiyan andar hi andar toot ta chala jata hai, lekin us ke dard ko mehsoos karne wala aur us ka saath dene wala bahut kam hota hai.

👉 Padhen Yahan ek Baap ki khamosh qurbani ko Jo Apne pariwar ki Khushi aur zaruriyat puri karne ke liye kaise Apne jazbaat aur Zindagi ko qurban karta hai

Islam Mard Se Kya Chahta Hai?

Islam mard ko insaf ka hukm deta hai.

Rasulullah ﷺ ne farmaya:

"Tum mein sab se behtar woh hai jo apne ghar walon ke liye sab se behtar ho."

(Tirmidhi: 3895)

Mard ka farz hai ki:

  • Maa baap ki khidmat kare.
  • Biwi ke nafaqah aur huqooq ada kare.
  • Kisi ek ki baat sun kar dusre par zulm na kare.
  • Tahqeeq ke baghair faisla na kare.
  • Gusse ke bajaye hikmat se masail hal kare.

Maa Aur Biwi Dono Ko Bhi Sochna Chahiye

  • ♦️Maa ko samajhna chahiye ke jisse bete ki nikaah huyi hai, us ki tamam zarooriyat poori karna bete ki zimmedari hai, aur yeh Islam ka hukm hai. 
  • ♦️Isi tarah biwi ko bhi samajhna chahiye ke jis maa-baap ne us ke shauhar ko paida kiya, us ki parwarish ki aur use bada kiya, un ke huqooq aur zimmedariyan bhi bete ko hi ada karni hoti hain, aur yeh bhi Islam ka hukm hai.maa Baap ka maqam bahut buland hai aur shohar se maa Baap ka rishta kisi surat mein khatam nahi ho sakta.

Agar dono ek dusre ke jazbaat samajhne ki koshish karen to ghar jannat ka namoona ban sakta hai.Aur Mard sakoon ki Zindagi jee Sakta hai.


Huqooq-ul-Ibad Ka Nazuk Muamla

Aksar Mard Ghar ke in muamalaat ki wajah se aur zahni pareshani ke alam me Maa Baap ya biwi ke huqooq Sahi se ada kar nahi pata hai.aur iski zimmedar Khud Ghar ki auraten Hoti hain.jabki huqooq ul ibad ka muamala bahut nazuk hai.iski bahut Badi Pakad hai.

Mard ki sab se badi fikr yeh honi chahiye ki kahin woh kisi ka haq maar kar Allah ke huzoor na pahunch jaye.

  • Agar maa ke huqooq mein kotahi hui to jawab dena padega.
  • Agar biwi ke huqooq mein kotahi hui to bhi jawab dena padega.

Qayamat ke din na maa ka sahara kaam aayega aur na biwi ka. Wahan sirf insaf hoga aur har shakhs ko apne aamaal ka hisab dena hoga.

Lihaza! 

Ghar ki Auraton ki ye zimmedari hai ki Mard ko zahni pareshani aur tanaao se door rakhen taaki wo apni zimmedari Sahi tareeqe se nibha sake aur har ek ki haq ko Pura kar sake taaki uski Aakhirat barbad na ho.

Masle Ka Hal Kya Hai?

  1. Ghalat fahmiyon ke bajaye khul kar baat ki jaye.
  2. Kisi par baghair daleel ilzam na lagaya jaye.
  3. Maa aur biwi dono ek dusre ki niyyat par shak karna chhod den.
  4. Mard insaf aur hikmat ka daaman na chhode.
  5. Ghar ke har fard ko Allah ke khauf aur aakhirat ki jawabdehi yaad rakhni chahiye.

Aham Nuqta:

Mard ki zindagi bahar se jitni aasaan nazar aati hai, aksar andar se utni hi mushkil hoti hai. Woh maa ki mohabbat aur biwi ke huqooq ke darmiyan insaf karne ki koshish karta rehta hai. Is liye zaroori hai ki maa, biwi aur ghar ke dusre afrad uski majbooriyon ko samjhen aur ghalat fahmiyon ke bajaye mohabbat, insaf aur husn-e-zann ka rasta ikhtiyar karen.

Yaad rakhiye, gharon ko nafrat nahi balki samajhdari, sabr aur Allah ke ahkam par amal hi abaad rakhta hai.

Is liye chhoti si hujjat, takraar ya jhagde ko lekar maamle ko zyada na badhaya jaye, balki maafi aur dar-guzar ka rasta apnaya jaye. Kyun ke jab ghar ke masail zid aur nafrat ki wajah se barhte hain, to sirf mard hi nahi balki poore ghar walon ki zindagi mutasir hoti hai. Aahista aahista ghar ka sukoon khatam ho jata hai, mohabbat ki jagah dooriyan paida ho jati hain aur zindagi bojh mehsoos hone lagti hai.

👉 Aksar ye samjha jata hai ki Miya biwi ki pur sakoon Zindagi ka raaz daulat,khubsurti ya bachchon me chhupa hai lekin asal raaz kuchh aur hai.kya hai padhen yahan 

Conclusion

Aaj ke daur mein bahut se ghar tootne ki wajah gareebi, kami-e-rizq ya zaruraton ki kami nahi, balki ghalat fahmiyan, badgumani aur ek dusre ke jazbaat ko na samajhna hai. Maa apne bete ko kho dene ka darr rakhti hai aur biwi apne shohar ki tawajju aur mohabbat ki talabgaar hoti hai. In dono ke darmiyan mard ek aisi zimmedari uthaye hota hai jiska bojh aksar sirf wahi mehsoos kar sakta hai.

Lekin yaad rakhiye, Islam ne kisi ek ka saath dene ka nahi, balki insaf karne ka hukm diya hai. Maa ke huqooq bhi azeem hain aur biwi ke huqooq bhi muqaddas hain. Jo mard Allah ke khauf ke saath dono ke huqooq ada karne ki koshish karta hai, us par ilzamat lagane ke bajaye uski madad aur hausla afzai ki jani chahiye.

Har maa ko sochna chahiye ki uska beta aaj bhi usi ka beta hai, aur har biwi ko samajhna chahiye ki shohar ka maa se rishta kabhi khatam nahi ho sakta. Isi tarah har mard ko bhi yaad rakhna chahiye ki Qayamat ke din usse har us haq ke baare mein sawal kiya jayega jo Allah ne uske zimme rakha tha.

Aaiye hum apne gharon ko ilzamat, badgumani aur nafrat se nahi, balki mohabbat, sabr, husn-e-zann aur Allah ke ahkam par amal se abaad karein. Kyunki jab ghar ke afrad ek dusre ko samajhne lagte hain to wahi ghar duniya mein sukoon ka markaz aur aakhirat ki kamyabi ka zariya ban jata hai.

Allah Ta'ala hamein maa baap, biwi, bachchon aur tamam rishtedaron ke huqooq ada karne ki taufeeq ata farmaye aur hamare gharon ko mohabbat, barkat aur sakoon ka gehwara bana de.

Aameen Ya Rabbal Aalameen.


FAQs (Frequently Asked Questions)

1. Mard ki zindagi ko mushkil kyun kaha jata hai?

Mard par maa baap, biwi aur bachchon ki zimmedari hoti hai. Woh sab ke huqooq ada karne ki koshish karta hai, lekin ghalat fahmiyan aur ilzamat uski zindagi ko mushkil bana dete hain.

2. Nikah ke baad mard ki sab se badi zimmedari kya hoti hai?

Nikah ke baad mard ki sab se badi zimmedari maa baap ke huqooq aur biwi bachchon ke huqooq ko insaf ke saath ada karna hoti hai.

3. Islam mard ko kis baat ka hukm deta hai?

Islam mard ko insaf, sabr aur hikmat ke saath faisla karne ka hukm deta hai. Kisi ek ki baat sunkar dusre par zulm karna durust nahi.

4. Maa aur biwi ke darmiyan paida hone wali ghalat fahmiyon ka hal kya hai?

Khul kar baat karna, ek dusre ki niyyat par shak na karna, tahqeeq ke baghair ilzam na lagana aur Allah ke khauf ko yaad rakhna iska behtareen hal hai.

5. Kya maa aur biwi dono ke huqooq ada karna zaroori hai?

Ji haan, Islam mein maa ke huqooq bhi bahut ahm hain aur biwi ke huqooq bhi. Mard par dono ke huqooq ada karna farz hai.

6. Ghar ke jhagde mard ki zindagi par kya asar dalte hain?

Musalsal jhagde aur shikayatein mard ke zehni sukoon ko mutasir karti hain, jis se uski sehat, kaam aur gharelu zindagi par bura asar pad sakta hai.

7. Islam mein baghair daleel ilzam lagane ka kya hukm hai?

Islam baghair daleel aur tahqeeq ke kisi par ilzam lagane se mana karta hai. Ghalat gumaan aur badgumani gunah ka sabab ban sakte hain.

8. Maa aur biwi ko mard ke saath kaisa rawayya ikhtiyar karna chahiye?

Maa aur biwi dono ko mard ki majbooriyon aur zimmedariyon ko samajhna chahiye aur uske liye sukoon aur mohabbat ka mahaul paida karna chahiye.

9. Huqooq-ul-Ibad ka muamla itna ahm kyun hai?

Qayamat ke din Allah Ta'ala bandon ke huqooq ke bare mein sawal karega. Is liye kisi ka haq marna ya usmein kotahi karna bahut sangin muamla hai.

10. Ghar mein sukoon aur mohabbat kaise paida ki ja sakti hai?

Sabr, mohabbat, husn-e-zann, insaf, ek dusre ki izzat aur Allah ke ahkam par amal karke ghar ko sukoon ka markaz banaya ja sakta hai.


Post a Comment

0 Comments